I say : ek din aisae hi sulag sulag kar rakh ho jaongi
She says: sulag kiyu rahi ho .. dahakti kiyu nahin..? tumhaen dhakene sae kaun rok raha hai?
I say : mujh mai daheknae ki takat nahin
She says : to phir kisi aur ko hawa daenae do agar khud nahin kar sakti ... kisi aur ko madat karnae do .....
and i hum to myself "shola tha jal bujha hu hawaayein mujhe na do...
mai kab ka ja chuka huun , sadaayein mujhe na do ....."
Artist: Mehdi Hasan
Shola tha jal bujha hu hawaayein mujhe na do
main kab ka ja chuka huun sadaayein mujhe na do
jo zahar pi chuka huun tumhin ne mujhe diya
ab tum to zindagi ki duaayein mujhe na do
aisa kabhi na ho ke palat kar na aa sakuun
har baar duur ja ke sadaayein mujhe na do
kab mujhako aitaraaf-e-muhabbat na tha ' faraaz'
kab mainne ye kaha tha sazaayein mujhe na do
No comments:
Post a Comment